Saturday 5 September 2015

Gagar me Sagar

Bhakti !
Bhakti wo hai jisme aseem shakti hai kuch pane ki . Asha hai kuch acha hone ki. Jigyasa hai uttar pane ki.

Bhakti ek Gagar me sagar hai..

Bhakti ek anant kriya hai jise nirantar kiya jata hai hae pal har chand. Har sec.

Asal me ye ek durgam rasta hai uss annant ko pane ka jiska na to koi akar hai na hi koi arambh aur na hi ant.

Ab jab ye pta chal gaya hai ki ye wo rasta hai uss annant parampita parmeshwar tak pahoochne ka...to ye rasta bhi annant se hotw huye jata hoga..!

Jisne iss anant se samanvaye bna liya samjho usne uss annant ko pa liya.!

Jisne in rasto pr khud se prem kar liya aur apni khushiya in durgam rasto me dhoond li wo hi sache dill se uss param pita annant ko samjh sakta hai..!

Jiska na hi koi akar hai jo nirakar hai jo vicharheen ho kar bhi vicharo ka sagar hai jo tumhre ahankar k age tumhe dikhayi nhi deta ...jara gaur se khojna ...kabhi kabhi kuch cheaje humri jeb me hi hoti hai aur hum unhe poore ghar me dhoond dalte hai..!

No comments:

Post a Comment